Best Urdu poetry by Famous Urdu Poets with Images 2023 - Sad Poetry, Shayari and Urdu Ghazals

Main

Best Urdu poetry by Famous Urdu Poets with Images 2023

Best Urdu Poetry by Famous Urdu Poets with Images 2023

Motivational Poetry in Urdu, Motivational Poetry in Urdu Text, Motivational Urdu Shayari on Life in Hindi, Inspirational Lines in Urdu, Best Urdu Poetry on Success

بات کرتا ہے مختصر لیکن

دل کے تار چھیڑ دیتا ہے



Kis Kis Ko Kahoon Dekhne Se Ijtenab Kijiye,

Janab Aap Se Hee Guzarish Hai Naqaab Kijiye



دیکھ لینا اسے اغیار کی محفل میں مگر

دل کی باتوں پہ نہ جانا اسے اپنا لکھنا



Apna zamana aap banate hain Ahl-e-dil,

Ham wo nahin ki jin ko zamana bana gaya


اسے گنوا کے میں زندہ ہوں اس طرح

کہ جیسے تیز ہوا میں چراغ جلتا ہے


Best Urdu Poetry by Famous Urdu Poets with Images 2023


.Wisal mosam guzar gaya to khayal ban kar mila karen gey. . .


Bichar gaye to hum ik
mah_e saal ban kar mila karen gey,


Kitab-e-ehad e wafa ke ik ik warq pe apni khabar miley gi,


Hum Ahl_e_ulfat Mohabbaton ki misal ban Kar Mila Karen gey,


Hazar lamho'n ki ho musafat dilo'n ki dharkan sunai de gi,


Guzarte lamhon ki har sada mein dhamaal ban kar mila karen gey,


Abhi to lamhon ki dooriyon per bhatak rahe hain magar kabhi hum,


Falak ki gardish mein aa gaye to hilal ban kar mila karen gey. 



'Farz Karo

Farz Karo Hum Ahel-E-Wafa Hoon,


Farz Karo Deewaane Hoon,


Farz Karo Yeh Donoon Baaten Jhooti Hoon, Afsaane Hoon,


Farz Karo Yeh Nain Tumhare,


Sach Much Ke Meh_Khane Hoon,


Farz Karo Tumhen Khush Karne Ke Dhoondhe Hum Ne Bahaane Hoon,


Farz Karo Yeh Jee Ki Bipta Jee Se Jod Sunayi Ho,


Farz Karo Abhi Aur Ho Itni, Aadhi Hum Ne Chupayi Ho,


Farz Karo Yeh Jog Be_Jog Ka, Dhong Hi Hum Ne Rachaaya Ho,


Farz Karo Bas Yahi Haqeeqat, Baqi Sab Kuch Maaya Ho,


Farz Karo Yeh Rog Ho Jhoota, Jhooti Peet Hamari Ho,


Farz Karo Is Peet Ke Rog Mein Saans Bhi Hum Pe Bhaari Ho.




Zindagi Ki Rahon Me
Baar Haa Ye Dekha Hy

Sirf Sun Nahi Rakha
Khud B Azmaya Hy

Tajarbon Sy Sabit Hy
Jo Bhi Parhty Aaye Hen

Isko Theek Paya Hy
Iss Tarah Ki Baato'n Sy

Manizlon Sy Pehly Hi
Saath Chhoot Jaaty Hen

Log Rooth Jaaty Hen
Ye Tumhen Bata Dun Me

Chahatton K Rishton Me Phir Girah Nahi Lgti

Lag B Jaaye To Us Me
Woh Kashish Nhin Rehti

Ek Pheeka Pheeka Sa, Rabta To Hota Hy,

Taazgi Nahi Rehti,

Rooh K Taa'lluQ Me
Zindgi Nahi Rehti,

Baat Woh Nahi Banti, Dosti Nahi Rehti,

Lakh Baar Mil Kr B,
Dil Kabhi Nahi Miltay..

Zehen K Jharoko'n Me, Yaad k Darecho'n Me,

Titliyo'n K Rango'n
K, Phool Phir Nahi Khiltay,

Iss Liye Me Kehta Hun, Iss Tarah Ki Baato'n Me 

"Ahtiyat Krtay Hen"

Iss Tarah Ki Baato'n Sy

"iJtinaab Krtay Hen"'



Jo rehtay hain sada dil mein unhain dhoonda nahi kertay
Jo ruch jain rag o pay mein unhain socha nahi kertay

Baharon kay ghannay saye mein tulkhi bhi, chubhan Bhi hai
Bamon ki dhoop ka tum say mager shikva nahi kertay

Nahi aatay kabhi bhi laot ker guzray huay maosam
Barastay badlon ki aas mein tarsa nahi kertay

Tajasus aur berhta hai machal jatay hain sun ker hum
Achanak piyar ki baton ka rukh mora nahi kertay

Teri nazer e inayat say huay jatay hain jo ghayal
Unhain qatil nigahoon say kabhi dekha nahi kertay.

No comments:

Post a Comment

Please do not enter any spam link in the comment box.