Urdu Poetry Lovers | Allama Iqbal Poetry Urdu
Allama Iqbal Poetry Urdu
ڈھو نڈتا پھرتا ہوں اے اقبال اپنے آ پ کو
آ پ ہی گو یا مسافر آ پ ہی منزل ہوں میں۔
Hamesha Dil Mein Rehta Hai Kabhi Goya Nahin Jaata. . . . .
Jise Paya Nahi Jaata, Usy Khoya Nahi Jataa,
Kuch Aise Zakhm Hain Jinko Sabhi Shaadab Rakhte Hain,
Kuch Aise Daagh Hain Jinko Kabhi Dhoya Nahi Jaata,
Ajab Si Goonj Uthti Hai Daro Deewaar Se Har Dam,
YeH KhwaboN Ka Kharaba Hai YahaN Soya Nahi Jata,
BahUt Hansne Ki Aadat Ka Yahi Anjam Hota Hai,
Ke Hum Rona Bhi ChaheN ToH Kabhi Roya Nahi Jata,
Zara SocheN! Yeh DUnya Kis Qadar Be-rang Ho Jaati
Agar AaNkhoN MeIn Koi Khwab Hi Boya Nahi Jaata
Jaane Ab Muhabbat Par PaRi Uftad Kya 'Aalam' Ke,
AEl-e-Dil Se Dil Ka Bojh Bhi Dhoya Nahin Jaata.
Urdu Poetry Lovers
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.