Urdu Poetry About Love 2023
تیری یا دو ں کا میری آ نکھوں سے کچھ رشتہ ضرور ہے
میں جب تجھے یا د کرتا ہوں یہ رو پڑ تی ہیں۔
Urdu Poetry About Love
Na bujha chiragh-e-dayaar-e-dil, na bichrne ka tu malaal kar,
Tujhe de gi jeene ka hosla, meri yaad rakh le sambhal kar,
Ye bhi kya ke ek hi shakhs ko kabhi sochna, kabhi bhoolna,
Jo na bujh sake wo diya jala, jo na ho sake wo kamal kar,
Gham-e-arzu meri justju, mei simat ke aa gaya ru-baru,
Ye sukoot-e-marg hai kis liye? mei jawab doon tu sawal kar,
Tu bichhar raha hai to soch le, tere hath hai meri zindgi,
Tujhe rokna meri mot hai, meri be'bsi ka khayal kar,
Mre dard ka, mre zabt ka, meri be-basi, mere sabr ka,
Jo yakeen na aaye to dekh le, tu hawa mein phool uchaal kr. .*
Urdu Poetry About Love
Weeraan wajood mein chalna Parra hamein
Apney lahoo ki aag ma¡ jalna parra hamein
Manzil bohat door thi Rastey they ajnabi
Taaron ke saath saath nikalna parra hamein
Saaye ki misal aaye they us ki gali mein hum
Dhalney lagi jo shaam to dhalna parra hamein
Her charrhtey sooraj ko salaami na de sakey
So dopehar ki dhoop mein jalna parra hamein
"Mohsin," kisi tarf bhi sahara na tha koi
Jab bhi girey to khud hi sambhalna parra hamain.
Urdu Poetry About Love
Wo Bhi Khafa Hai,Or Log Bhi Barham Hain Dosto,
:
Ab Ho Chala Yakeen K Buray Ham Hain Dosto.
*
Kis Ko Hamare Haal Se Nisbat Hai Kya Krein,
:
Aankhain To Dushmano Ki Bhi Pur Nam Hain Dosto.
*
Apne Siwa Hamare Na Hone Ka Gham Kisay,
:
Apni Talash Mein To Bas Ab Ham Hi Ham Hain Dosto.
*
Kuch Aaj Sham Hi Se Dil Bhi Bujha Bujha,
:
Kuch Shehar K Chiragh Bhi Madham Hain Dosto...!
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.