Sad Poetry Hindi
Sad Poetry Hindi
Shab-e-tanhai
Wo jo baray sukh main hay
Usay kehna
K raat ka pichla pehr hay
Aur abhi hum jagtay hain
Hamari ankhon say neend kosoon door hay
Hamaray lab abhi tak is ke naghmay gungunatay hain
Hamara zehan ab bhi us ki batain sochta hay tau
Kabhi hum hans detay hain
Kabhi jee bhar ke rotay hain
Shab-e-tanhai ki yakh basta hawao.. !
Usay kehna hum ab bhi ba wazo ho ker tumhara naam laitay hain
Usay kehna, ya apna naqsh dho jay
Ya phir say apna ho jay.
Sad Poetry Hindi
Har Gira Howa Phool Wafa Ka Nai Hota,
Har Utha Howa HathDua Ka Nai Hota,
Bujh Jate Hain Deye Aksar Khud Hi,
Har Baar Qasoor Hawa Ka Nai Hota.
'"LOUT AO"
k teri yad aa rhi ha,
meri jan ja rhi ha,
na rat kat rhi ha,
na neend aa rhi ha,
"LOUT AO"
Mujhy q sta rhy ho,
mujhy q rula rhy ho,
tum q meri chahat ko,
yun azmaa rhy ho,
"LOUT AO"
Aysa na ho k any main phr dair ho jay,
Mujhy rona pard jay!!mujhy khona pard jay,
"LOUT AO"..."LOUT AO"'.
Tumhari Yad Ati Hai To Hum Ansu Bhatay Hain,
Guzaray Thy Kabhi Jo Sath Din Wo Yaad Atay Hain,
Isi Umeed Pe Hum Ne Khula Rakha Hai Darwaza,
Suna Hai Shaam Hotay Hi Bichray Lout Atay Hain,
Haqarat Se Na Dekho Ay Ehl_e_sahil Toofan Ko,
Kabhi Aesa Bhi Hota Hai Kinaray Doob Jatay Hain,
Kisi Se kya Gila "aey DOST " Ye Dastoor Hai Zamanay Ka,
Naye Jab Yaar Miltay Hain Puranay Bhool Jatay Hain.
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.