Love Poetry in English
Love Poetry in English
Mohsin Naqvi Urdu Ghazal
Kuch tou ae yaar elaj-e-gham-e-tanhae ho
Baat itni b na barh jaey k ruswae ho
Jisnay b mujh ko tamasha sa bana rakha hai
Ab zaroori hai wo he aankh tamashae ho
Doobnay walay tou aankhon say b kab niklay hain
Doobnay k leay lazim nahi gehrae ho
Ma tujhay jeet b tohfay may nahi dey sakta
Chahta ye b nahi hoon teri paspae ho
Koe anjaan na ho shehar-e-mohabbat ka makeen
Kaash har dil ki har aik dil say shanasae ho
Yoon guzar jata hai MOHSIN teray koochay say wo
Tera wakif na ho jaisay koe harjae ho.
Love Poetry in English
Ye weham nahi to kya hai, ye gumaaN nahi to kya hai
Ye jo dil se utth raha hai, ye dhuwaaN nahi to kya hai
Tujhey kis dard ka rishta merey dar pe kheyNch laaya
Tujhey kis ney keh diya tha merey paas har dawaa hai
Terey kisi dukh ka chaaraa merey haath meiN nahi hai
MeiN to khud bekaraaN hooN merey paas kya dharaa hai
Abhi bastiyaaN yaheeN heiN, tu loat jaa yaheeN se
Merey saath saath na chal tu, ye bohat barra juwa hai
Tujhey kya khabar aey hamdam ke teri aarzu ke badly
Merey dil pe jo laga tha, ab tak wo zakhm haraa hai
Par gila nahi hai tujh se, merey khaloos meiN hi kami hai
Mein ne jisey bhi dil se chaaha, usey laga ke wo khuda hai
MeiN koi waaqeya nahi hooN, mujhey is tarha na socho
Meri daastaaN ko chorro, bhala is meiN kya maza hai
Tu laot ke aa gayaa hai, par mera dil to bujh chuka hai
Ab tu kisi aur se pyaar kar ley, bas yehi teri sazaa hai.
Love Poetry in English
Dasht-e-dariya k Us Paar Kahan Tak Jati?
.
Ghar Ki Deewaar Thi Deewar Kahan Tak Jati?
.
Mit Gayi Hasrat-e-Deedar bhi Rafta Rafta,
.
Hijr Mein Hasrat-e-Deedar kahan Tak jati?
.
Thak Gaye Hont Tera Naam bhi Lete Lete,
.
Aik hi Lafz ki Takraar Kahan Tak jati?
.
Tu Bohat Door, Bohat Door Gaya tha Mujh se,
.
Meri Aawaz Mere Yaar kahan tak jati?
.
Har Taraf Husn k Bazar Lagey They .
Har Taraf Chashm-e-khridar kahan tak jati.
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.