MIR TAQI MIR Poetry Urdu Ghazal Sad and Love Poetry
Mir Taqi Mir Poetry
Ibtadaaey ishq hai rota hai kya,
Aage aage dekhiye hota hai kya
Qafile mein subah ke ek shor hai,
Yaani ghaafil hum chale sota hai kya
Sabz hoti hi nahin yeh sar zamin
Tukhm-e-khwahish dil mein tu bota hai kya
Yeh nishaan-e-ishq hain jaate nahin,
Daagh chhaati ke abas dhota hai kya
Ghairat-e-Yousaf hai yeh waqt-e-aziz
Mir isko raigaan khota hai kya.
Mir Taqi Mir Poetry
دیکھ تو دل ، کہ جاں سے اٹھتا ہے
یہ دھواں سا کہا ں سے اٹھتا ہے
Kya kaahon tum se main k kya hai Ishq
Jaan ka rog hai, Bala hai Ishq
Ishq hi Ishq hai jahaan Dekho
Saare Aalam main bhar Raha Hai Ishq
Ishq maashuq Ishq aashiq hai
Yaani Apna hi mubtala hai Ishq
Ishq hai tarz-o-taur Ishq ke taeen
Kahin banda Kahin Khuda Hai Ishq
Kaun maqsad ko Ishq bin pohuncha
Aarzoo Ishq wa mudda hai Ishq
Koi khwaahan nahin Mohabbat ka
Tu kahe jins-e-narawa hai Ishq
Mir Ji zard hote jaate hain
Kya Kahin tum ne bhi kiya hai Ishq.
ہم ہوئے ، تم ہوئے ، کہ میرؔ ہوئے
اس کی زلفوں کے سب اسیرہوئے۔
Laga na dil ko kya sunaa nahin tu ne, Jo kuch ke
Meer ka is aashqui ne haal kiya.
عشق کرتے ہیں اس پری روسے
میرؔ صاحب بھی کیادیوانے ہیں۔
Mir Taqi Mir poetry in English
Zulmat-e-shab ko sitaaron se sanwaara hum ne
Kitni raaton ko tujhey uth k pukara hum ney
Jab kabhi hath se umeed ka daaman choota
Ley Liya AAP k daaman ka Sahara hum ne
Yoon tu dunya bhi mukhaalif hai hamari warna
Rukh badaltey huye dekha hai tumhara hum ne
Hum zamaney se bhi takraa gaye teri khaatir
Jo na karna tha kiya woh bhi ganwaara hum ne
Aye Taqi, Gham nahin yeh jaan rahey ya na rahe
Paa Liya un nighaaon ka ishaara hum ne.
بے خودی لے گئی کہاں ہم کو
دیر سے انتظار ہے اپنا۔
Aaney k waqt tum tu kahin k kahin rahey,
Ab aye tum tu fayda! hum hi nahin rahe.
شام سے کچھ بجھاسارہتا ہے
دل ہواہے چراغ مفلس کا۔
دل کی ویرا نی کا کیا مذکُور ہے
یہ نگر سو مر تبہ لُو ٹا گیا
meer taqi meer poetry in urdu pdf
وہ آ ئے بزم میں ،اتنا تو میرؔ نے دیکھا
پھر اُسکے بعد چرا غو ں میں رو شنی نہ رہی
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.