Urdu Ghazal + Bewafa Shayari Urdu
اے میرے حال دل سے بے خبر
نہ پھیر مجھ سے نظر
دیکھ اک بار پلٹ کر
اور لے کبھی میری خبر
معلوم کر کس حال میں ہوں؟
پتا کر کس انتظار میں ہوں؟
سوچ ذرا کیوں تیرے پاس میں ہوں؟
آخر میں ایسی کس آس میں ہوں؟
تُو پتھر رکھتا ہے سینے میں
یا میرے الفاظ ہیں بے اثر؟
اے میرے حالِ دل سے بے خبر
رہ میرے حالِ دل سے باخبر
Bewafa Shayari Urdu
Kahan aa ke rukne they raste Kahan morr tha ussay bhool ja
Woh jo mil geya ussay yaad rakh jo nahin mila ussay bhool ja
Woh tere naseeb ki barishen kisi aur chhhat pe barass gayin,
Dil-e-bekhabar meri baat sun ussay bhool ja ussay bhool ja,
Main tou gum tha tere hi dheyan main teri aas tere gumaan me
Sabaa keh gayi mere kaan me mere sath aa ussay bhool ja
Kisi aankh main nahin ashk-e-gham tere baad kuch bhi nahin hai kamm
Tujhe zindagi ne bhulaa diya tu bhi muskuraa ussay bhool ja
Kahin chaak-e-jaan ka rafuu nahin kissi aasteen pe lahuu nahin
K shaheed-e-raah-e-malaal ka nahin khuun bahaa ussay bhool ja
Kyun attaa hua hai ghubaar mein gham-e-zindagi ke fishaar mein
Woh jo dard tha tere bakht main so woh ho geya ussay bhool ja
Woh na aankh hi teri ankh thi woh na khawb hi tera khawb tha
Dil-e-muntazir to yeh kis liye tera jaagna ussay bhool ja
Tou yeh hai kis liye shab-e-hijar ke ussay har sitare me dekhna
Woh Falak ke jiss pe mile they hum koi aur tha ussay bhool ja
Tujhe chaand ban ke mila tha jo tere sahilon pe khillaa tha jo
Woh tha aik daryaa visaal ka sau utar geya ussay bhool ja.
Bewafa Shayari Urdu
دھڑکن کی ڈگ ڈُگی پہ کب سے ہے محو رقص
دل تھک کے گر ہی جائے تماشا تو ختم ہو
Mera qalum merey jazbaat sey waqif hai itna *GHALIB*
Kay main lafaz mohabbat likhon tu tera naam likha jaye.
ملے گا منزل مقصود کا اسی کو سراغ
اندھیری شب میں ہے چیتے کی آنکھ جس کا چراغ
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.